Overblog
Edit post Follow this blog Administration + Create my blog
February 14 2009 6 14 /02 /February /2009 21:41

zindagi tujhse hume shikwe  bahut hai,
tune diye hume gamm bahut hai.
abb toh sudhar jaa,
itna toh naa hume tu sataa.

kab chali jaae tu yeh kise pata,
kam se kam jab tak hai tab tak naa rulaa.
hum toh tere apno mein se hai,
fir kyon bhala rakha hume gairon saa hai.

maang maang kar thak gae hai rabb se pyaar,
par kabhi naa diya usne mere dilko karaar.
jab bhi maine kisi ko chaaha,
humesha use hi apne se door jaate paaya.

har waqt apne mooh par jhoothi hasi le kar main chalta gaya,
iss jhooth mein apne aap ko hi main bhool gaya.
jab bhi laga k ab toh khushi hi khushi hai,
tabhi pata laga k yeh ek jhoothi tasalli hai.

jin jin ko samjha maine apne paas,
ab toh unse bhi nahi dikhti koi aas.
kaise rehte hai akele yeh koi mujhse seekhe,
kabhi toh koi aa k mere andar k dukh ko dekhe.

apno mein bhi paraaya sa mehsoos kiya,
tabhi toh hamesha dukhon se raha ghira.
kahaan k liye chalaa tha aur kahaan pahunch gaya,
ab khada beech chaurahe pe main hun bhatak gaya.

ab toh dikha de sahi raasta,
zindagi tujhe hai rabb kaa waasta.
aur naa de ab koi naye gamm,
chahe kar de tu meri umar kam.

 

 

 

 

 

Share this post
Repost0

comments